Saturday, May 29, 2010

Muse | Khoj | 29th May 2010

Ek khoj mein hoon main!
na jaane kahan kahan na dhoondha:

dehleez ke paas,
tehkhane mein bhi;
par nirash ho kar main
baith gaya hoon

thodi der apne aap ko sambhalne ke liye
apne wajood ko jaane ke liye;
lagta hai ki main woh aadmi hoon -
jo bhari dupahar mein andhkaar khoj raha hai

haan haan... dhoondh raha hoon main -
un taaron ko, un sitaaron ko;
jo mujhe ej saagar kinare raat ko
moti ki tarah ret mein jilmilate hue dikhe the

jinhe choone se keval ehsaas hota tha
girti hui ret ka;
par us ret ko toh main thoda choo to saka -
woh baat alag ki kuch pal ke liye hi

waise to ab bhi main un smritiyon ko choota hoon
jo mujhe apne ki khoj mein phir se chala deti hain...

aur mere lad-khadate kadam phir se chal dete hain
ek khoj mein...