Saturday, May 29, 2010

Muse | Khoj | 29th May 2010

Ek khoj mein hoon main!
na jaane kahan kahan na dhoondha:

dehleez ke paas,
tehkhane mein bhi;
par nirash ho kar main
baith gaya hoon

thodi der apne aap ko sambhalne ke liye
apne wajood ko jaane ke liye;
lagta hai ki main woh aadmi hoon -
jo bhari dupahar mein andhkaar khoj raha hai

haan haan... dhoondh raha hoon main -
un taaron ko, un sitaaron ko;
jo mujhe ej saagar kinare raat ko
moti ki tarah ret mein jilmilate hue dikhe the

jinhe choone se keval ehsaas hota tha
girti hui ret ka;
par us ret ko toh main thoda choo to saka -
woh baat alag ki kuch pal ke liye hi

waise to ab bhi main un smritiyon ko choota hoon
jo mujhe apne ki khoj mein phir se chala deti hain...

aur mere lad-khadate kadam phir se chal dete hain
ek khoj mein...

Saturday, May 15, 2010

Tribute (to the one who knows its meant for) | Tum | 12th May '10

"Tum"

Tum jo baith kar shaant
aatur hoton ko sun
meri jeevan kavita saar
--- us se mujhe jeevandaan mila.

Tum aakhir ho kaun?
jeevan ka ek musaafir,
jo raste mein kahin milte hain -
apne un sambandhon se -
jinhen weh jaante he nahin;
par koshish karte hain:
ek seema lagaane ki,
ek naam dene ki...

aise tum ek pathik -
mujhe jo mil gaya -
aur meri kavita sun
--- mujhe alankrit kiya...

Reflection | On ISABS | 12th May '10

My journey - I never quite understood
My path that just came along
as i walked - pulled on by a
force unknown.

But I cry now - in joy or pain
I know not - for which
Now - when I get in touch
with the stops of a journey.

When a human heart
logical and on its quest of life
A life on mission and purpose
marching ahead to its own drum
deaf and mute - to the grass,
the lilies and the butterflies.

And then at some point
at some moment,
at some occasion,
when something happens
and there is a stillness, a silence:
of reflection, of realisation, of introspection.

It is for the joy of that moment, that silence
that I pursue the path...